Friday, October 15, 2010

SAI KATHA

Sai ke charno me shish dhar
Karon ye prarthana,sai sab ki manokamna poorn kar
Tu hai aakash o sai
Bhavsagar par parti teri parchai
Teri leelaon ka amrit sagar
Jo bhi bhare isse apna gagar
Vo tere rang me rang jaye
Us par teri bhakti ka nasha chad jaye
 He sainath hum tere hi gun gaate hai
Tere naam se apna jeevan safal banate hai

Krishna kahe jab jab ho dharm ki hani
Jab jab dharti par raj kare abhimani
Tab tab mai aaunga
Dushto ka sanhar kar,dushtta door bhagaonga
Us samay ki baat hai yeh jab bharat pe tha angrezo ka prashasan
Lobh,moh or abhiman kar raha tha sab ke hridayo par shasan
Dukh daridraya ka samrajya tha fela
Papo ke bhar se tha sab ka man maila
Sone chandi ki chamak se oshal ho jati sab ki drishti
Karuna se man bhar gaya parampita ka jab pai is hal me apni srishti
Chod  thakurai,keval mamta hi apnai
Mamta, prem ,daya ke bhav lia
Vo dharti ki or chal dia
vohi avtar the vo jinhe hum sai bulate hai
He sainath hum tere hi gun gaate hai
Tere naam se apna jeevan safal banate hai


1 comment: