dhanya dhanya ati pavan shirdi ki bhoomi
bana gayi jagdish ko hi apna rini
yahan ke kan kan me mehek hai baba ki
havaon me urti hai sugandh, jaane kaisa yeh rinanubandh
ek ek patta , ek ek tinka teri jeevan gaatha sunaye
sunkar bhi man ki pyaas bhujh na paaye
saagar ki lehre ho jaise, suraj ki kirane ho jaise
sai katha ki amritdhara ka ant na koi paaye
aao hum sab milkar is ganga me aatam ko bhigaye
man ka mail mitaye is man darpan ko shudh banaye
kaun jaane kis ujale mein uska darshan ho jaaye
man darpan ki dono patwaron par naam usi ka likh do
kevat banker vo sabki naiya bhav se paar lagate hain
he sainath hum tere hi gun gaate hai
tere naam se apna jeevan safal banate hai.